un kī yādoñ kī hasīñ parchhā.iyāñ rah jā.eñgī
dil ko Dasne ke liye tanhā.iyāñ rah jā.eñgī
ham na hoñge phir bhī bazm-ārā.īyāñ rah jā.eñgī
apnī shohrat ke liye rusvā.iyāñ rah jā.eñgī
ham ḳhalā kī vus.atoñ meñ is tarah kho jā.eñge
duur tak bikhrī huī tanhā.iyāñ rah jā.eñgī
miT na pā.eñge kisī sūrat bhī maazī ke nuqūsh
dil kī dīvāroñ pe kuchh parchhā.iyāñ rah jā.eñgī
ham musāfir haiñ nikal jā.eñge har bastī se duur
aur ham ko DhūñDhtī purvā.iyāñ rah jā.eñgī
phuul se ḳhushbū kī sūrat ham judā ho jā.eñge
ye bahāreñ ye chaman-ārā.iyāñ rah jā.eñgī
misl-e-naġhma ham fazā meñ jazb ho jā.eñge 'arsh'
gungunātī gūñjtī shahnā.iyāñ rah jā.eñgī