Arsh Sahbai

aarzu raqs mein hai waqt ki aawaz ke sath

Arsh Sahbai

aarzū raqs meñ hai vaqt kī āvāz ke saath
zindagī naġhma-sarā hai na.e andāz ke saath
zindagī dekh na yuuñ ajnabī andāz ke saath
ham ko nisbat hai tirī chashm-e-fusūñ-sāz ke saath
us ke mazkūr se labrez haiñ naġhme us ke
us ne marġhūb kyā dil ko kis e.ajāz ke saath
ye haqīqat meñ zamāne kī ḳhabar rakhte haiñ
sahme sahme se haiñ jo hasrat-e-parvāz ke saath
dil hai sar-e-chashma-e-naġhmāt agar TuuT gayā
kitne naġhmāt bikhar jā.eñge us saaz ke saath
vaqt kī baat hai ab koī nahīñ un kā vaqār
jo kabhī baat bhī karte the baḌe naaz ke saath
kyā kaheñ ban ga.e ham sab kī nazar kā markaz
us ne kyā dekh liyā ajnabī andāz ke saath
'arsh' jo dard meñ Duube hue dil se nikle
chand sho.ale bhī lapakte haiñ is āvāz ke saath
Top Urdushayar.com