hazār hādsāt-e-ġham ravāñ-davāñ liye hue
kahāñ chalī hai zindagī kashāñ kashāñ liye hue
mire nasīb kī ye zulmateñ na miT sakīñ kabhī
koī guzar gayā hazār kahkashāñ liye hue
ye zindagī badalte mausamoñ kā rañg-rūp hai
kabhī bahār kā samāñ kabhī ḳhizāñ liye hue
mirā ye karb hai ki merā kārvāñ guzar gayā
simaT ke rah gayā huuñ gard-e-kārvāñ liye hue
agar vo jān-e-ārzū mile to us kī nazr ho
khaḌā huuñ kab se muntazir maiñ naqd-e-jāñ liye hue
mire vaqār kā savāl thā maiñ kuchh na kah sakā
guzar ga.e vo rāhatoñ kā ik jahāñ liye hue
kisī bhī zāviye se 'arsh' is ko dekhiye magar
qadam qadam pe zindagī hai imtihāñ liye hue