kise ḳhabar thī ki zehn-o-dil meñ ajiib sā intishār hogā
vo vaqt aa.egā be-yaqīnī kā chār-jānib ġhubār hogā
ye saaf zāhir hai zindagī meñ sukūñ kī hogī na koī sūrat
kahīñ ḳhizāñ kī ijāra-dārī kahīñ fareb-e-bahār hogā
yahāñ kā aa.iin hī ajab hai ki tarz-e-nau kā ye mai-kada hai
jo bekasoñ kā lahū piyegā vo mai-kashoñ meñ shumār hogā
na chheḌiye naġhma-e-mohabbat ki ye hai daur-e-fareb-kārī
diloñ kī ḳhush-rañg vādiyoñ meñ kudūratoñ kā ġhubār hogā
chale to ho 'arsh' rāh-e-haq par liye hue dil meñ azm lekin
jahāñ jahāñ bhī qadam paḌeñge vahīñ vahīñ ḳhārzār hogā