Arsh Sahbai

dil-e-muztar se nalan hain udhar wo bhi idhar hum bhi

Arsh Sahbai

dil-e-muztar se nālāñ haiñ udhar vo bhī idhar ham bhī
mohabbat meñ pareshāñ haiñ udhar vo bhī idhar ham bhī
kise fursat hai maazī kī purānī dāstāñ chheḌe
ġham-e-hāzir meñ ġhaltāñ haiñ udhar vo bhī idhar ham bhī
ba-zāhir koī hairānī nahīñ tark-e-mohabbat par
magar dil meñ pashemāñ haiñ udhar vo bhī idhar ham bhī
ḳhizāñ ke jaur-e-paiham kī shikāyat hai to donoñ ko
talabgār-e-bahārāñ haiñ udhar vo bhī idhar ham bhī
unheñ jaane kī jaldī hai hameñ zid hai ki ruk jaa.eñ
ġharaz donoñ pareshāñ haiñ udhar vo bhī idhar ham bhī
Top Urdushayar.com