un se iz.hār-e-shikāyāt karūñ yā na karūñ
lab pe larzāñ sī hai ik baat karūñ yā na karūñ
khīñch laa.e na kahīñ phir ye mohabbat kī kashish
jur.at-e-tark-e-mulāqāt karūñ yā na karūñ
merī ḳhāmoshī-e-paiham kā unheñ shikva hai
zikr-e-be-dardī-e-hālāt karūñ yā na karūñ
hai ġham-e-hāl meñ insān pareshāñ-ḳhātir
fikr-e-fardā kī koī baat karūñ yā na karūñ