Arsh Sahbai

haalat meri rah mein hail to nahin the

Arsh Sahbai

hālāt mirī raah meñ haa.il to nahīñ the
is zindagī meñ itne masā.il to nahīñ the
ye aaj achānak huī kyuuñ ham pe tavajjoh
vo lutf-o-karam pe kabhī maa.il to nahīñ the
ik dūsre se duur nikal aa.e haiñ ham log
ham bhī kabhī ye fāsle haa.il to nahīñ the
tū ne hameñ shāyad ġhalat andāz se sochā
ham tere tamannā.ī the saa.il to nahīñ the
ab mo'taqid-e-gardish-e-hālāt haiñ varna
ham gardish-e-hālāt ke qaa.il to nahīñ the
chehre pe masarrat kī jhalak ḳhuub thī lekin
āsār ġham-o-dard ke zaa.il to nahīñ the
ik kushta-e-hālāt kī kuchh aas bañdhā.īñ
logoñ meñ magar aise ḳhasā.il to nahīñ the
jin kohna rusūmāt meñ ham jakḌe hue haiñ
un kohna rusūmāt ke qaa.il to nahīñ the
jiinā baḌā mushkil thā magar phir bhī jiye 'arsh'
jiine ke liye itne vasā.el to nahīñ the
Top Urdushayar.com