be-tarah in meñ ulajh jā.egā nādānī na kar
vāqi.āt-e-umr-e-rafta par nazar saanī na kar
dil pe jo guzrī hai us par ashk-afshānī na kar
zindagī kī anjuman meñ marsiya-ḳhvānī na kar
kyā zarūrī hai ki ye dukh bāñTne vaale bhī hoñ
milne vāloñ se kabhī zikr-e-pareshānī na kar
ārzūoñ ko na rakh har chiiz se baḌh kar aziiz
tez tar kāñTe haiñ ye un kī nigahbānī na kar
vaqt ke bigḌe hue atvār kā andāz dekh
zindagī meñ har-qadam par apnī man-mānī na kar
kashtī-o-tūfān ke ik naaz se rishte ko samajh
halqa-e-tūfāñ meñ rah kar apnī man-mānī na kar
'arsh' is meñ talḳhī-e-ġham ke sivā kuchh bhī nahīñ
tū kitāb-e-zindagī kī safha-gardānī na kar