kaun sā vo zaḳhm-e-dil thā jo tar-o-tāza na thā
zindagī meñ itne ġham the jin kā andāza na thā
ham nikal sakte bhī to kyuuñ kar hisār-e-zāt se
sirf dīvāreñ hī dīvāreñ thiiñ darvāza na thā
us kī āñkhoñ se numāyāñ thī mohabbat kī chamak
us ke chehre par na.ī tahzīb kā ġhāza na thā
itnī shiddat se kabhī aayā na thā us kā ḳhayāl
zaḳhm-e-dil pahle kabhī itnā tar-o-tāza na thā
us kī har ik soch meñ hai ik musalsal intishār
is tarah bikhrā huā is dil kā shīrāza na thā
duur kar degā zamāne se mujhe merā ḳhulūs
mujh ko apnī is salāhiyat kā andāza na thā
'arsh' un kī jhiil sī āñkhoñ kā us meñ kyā qusūr
Dūbne vāloñ ko gahrā.ī kā andāza na thā