Arsh Sahbai

ye dekhen raaz-e-dil ab kaun karta hai ayan pahle

Arsh Sahbai

ye dekheñ rāz-e-dil ab kaun kartā hai ayaañ pahle
nazar kartī hai iz.hār-e-mohabbat yā zabāñ pahle
agar ho dekhnā maqsūd barbādī kā nazzāra
jilā kar dekhiye ik baar apnā āshiyāñ pahle
pahuñch kar manzil-e-hastī pe ye ehsās hotā hai
ki guzre haiñ yahāñ se aur bhī kuchh kārvāñ pahle
ka.ī ma.asūm kaliyāñ jo abhī khilne na paa.ī huuñ
masal dete haiñ apne haath se ḳhud bāġhbāñ pahle
Thahar ai gardish-e-ayyām ham bhī saath chalte haiñ
uThā lene de faiz-e-sohbat-e-pīr-e-muġhāñ pahle
Top Urdushayar.com