qasd kartā hai bagūloñ se lipaT jaane kā
kitnā dilchasp ye andāz hai dīvāne kā
baḌh gayā had se junūñ aap ke dīvāne kā
vaqt ab aa gayā parde se nikal aane kā
lafz-e-kun se kahīñ taḳhlīq-e-do-ālam hotī
husn-e-andāz thā ye aap ke farmāne kā
soz-e-ulfat se jale donoñ barābar lekin
sham.a badnām hai aur naam hai parvāne kā
dil-e-'iqbāl' pe andoh-e-mohabbat kyā hai
ek bādal hai barasne kā na barsāne kā