Syed Iqbal Haider

jamal tera tera husn aaina tera

Syed Iqbal Haider

jamāl terā tirā husn aa.ina terā
ḳhilāf ho ke bhī koī karegā kyā terā
havā chaman meñ bikher aatī hai tirī ḳhushbū
kabhī havāoñ se koī na bas chalā terā
mirī zabān ne paayā hai ābloñ kā ḳhirāj
jo bhuul ke bhī kabhī naam le liyā terā
jo ab bhī rakkhe hai zinda lahū kī qīmat ko
hai ma.arkoñ meñ faqat ek ma.arka terā
yuuñ razm-e-āb-o-atsh meñ shikast aab ko dī
vafā-kadoñ meñ vafā naam paḌ gayā terā
tū kar ke aa bhī gayā sair āsmānoñ kī
milā na DhūñDe kisī ko bhī naqsh-e-pā terā
ḳhabar kitāboñ meñ likhī hai tere aane kī
isī se dekhtā rahtā huuñ rāsta terā
najābatoñ kā jo maskan hai aaj tak 'iqbāl'
ḳhudā kā shukr vahīñ se hai silsila terā
Top Urdushayar.com