jamāl-o-husn kī vo anjuman meñ kyā baiThe
matā-e-hosh-o-ḳhirad hī ko jo gañvā baiThe
jinheñ adab se ilāqa na fikr-o-fan se lagāo
hamārī bazm meñ aise bhī log aa baiThe
kabhī buzurgoñ se mīrās meñ jo paa.ī thī
vo saarī qadreñ vo tahzīb ham bhulā baiThe
maiñ sochtā huuñ vo insān haiñ ki haivāñ haiñ
haiñ kaun jo na kabhī mil ke ek jā baiThe
unheñ se nām-e-tamaddun ko joḌ rakkhā hai
jo apnī daulat-e-tahzīb bhī luTā baiThe
phir aise ghar meñ ho kyā koī qīmtī sāmān
hasad kī aag se jo apnā ghar jalā baiThe
amīr-e-qāfila ko ho thakan kā jab ehsās
to rāste meñ na kyoñ thak ke qāfila baiThe
unheñ milegā na 'iqbāl' manziloñ kā patā
vo rāhzan hī ko jo rahnumā banā baiThe