ġhair par zulm mire hote ye kyā hotā hai
dekhiye dekhiye par tiir ḳhatā hotā hai
dil kā ḳhuuñ tum ne kiyā ḳhuun kā paanī ġham ne
ab tap-e-ġham se vo paanī bhī havā hotā hai
Dūbne vaale pahuñch jā.eñge sāhil pe ḳhabar
dāman-e-maut pe sab haal likhā hotā hai
aap achchhe haiñ magar aap kā ye naaz burā
ek se ek zamāne meñ sivā hotā hai
paikar-e-zulm-o-jafā arsh na hil jaa.e kahīñ
dil dukhānā kisī bekas kā burā hotā hai
ishq ke dam se bagūloñ ko hai gardish 'iqbāl'
varna in ḳhaak ke zarrāt meñ kyā hotā hai