Abbas Alvi

ye tum se kis ne kaha hai ki dastan na kaho

Abbas Alvi

ye tum se kis ne kahā hai ki dāstāñ na kaho
magar ḳhudā ke liye itnā sach yahāñ na kaho
ye kaisī chhat hai ki shabnam Tapak rahī hai yahāñ
ye āsmān hai tum us ko sā.ebāñ na kaho
rah-e-hayāt meñ nākāmiyāñ zarūrī haiñ
ye tajraba hai ise sa.ī-e-rā.egāñ na kaho
mirī jabīn batā.egī azmateñ us kī
use ḳhudā ke liye sañg-e-āstāñ na kaho
yahāñ muqīm haiñ vīrāniyāñ rag-o-pai meñ
tum aur kuchh bhī kaho us ko shahr-e-jāñ na kaho
jahāñ jahāñ bhī sitam-gar mileñ zarūrat hai
ki us maqām ko tum jāda-e-amāñ na kaho
muāshare kā asar to zarūr hai 'alvī'
mirī ġhazal ko zamāne kī dāstāñ na kaho
Top Urdushayar.com