jo saare ham-safar ik baar harz-e-jāñ kar leñ
to jis zamīñ pe qadam rakkheñ āsmāñ kar leñ
ishāra kartī haiñ maujeñ ki aa.egā tūfāñ
chalo ham apne irādoñ ko bādbāñ kar leñ
paroñ ko joḌ ke uḌne kā shauq hai jin ko
unheñ batāo ki mahfūz āshiyāñ kar leñ
jo qatl tū ne kiyā thā banā ke mansūba
tire sitam ko baḌhā.eñ to dāstāñ kar leñ
dahakte sho.aloñ pe chalne kā shauq hai jin ko
rutoñ kī aag meñ vo hausle javāñ kar leñ
ye un se kah do agar imtihān kī zid hai
samundaroñ kī tarah dil ko be-karāñ kar leñ
har ek buuñd kā leñge hisāb ham 'alvī'
hamāre ḳhuun se dil ko vo shādmāñ kar leñ