lafzoñ ke sitam lahjoñ ke āzār bahut haiñ
kahne ko to is shahr meñ ġham-ḳhvār bahut haiñ
kuchh apne hī duniyā meñ nahīñ itne ziyāda
kuchh un meñ se bhī shāmil-e-aġhyār bahut haiñ
har samt sapere haiñ jamā.e hue Dere
is shahr meñ sāñpoñ ke ḳharīdār bahut haiñ
har samt se tūfān kī aamad kī haiñ ḳhabreñ
ab maan lo ham log gunahgār bahut haiñ
ik ham hī nahīñ shahr-e-sitam-sāz meñ 'ātif'
be-jurm sazāoñ ke sazā-vār bahut haiñ