ma.amūlī be-kār samajhne vaale mujh se duur raheñ
mujh ko ik āzār samajhne vaale mujh se duur raheñ
pāgal-pan meñ aa kar pāgal kuchh bhī to kar saktā hai
ḳhud ko izzat-dār samajhne vaale mujh se duur raheñ
hañs paḌtā huuñ jab koī hālāt kā ronā rotā hai
jīvan ko dushvār samajhne vaale mujh se duur raheñ
maiñ vāqif huuñ rañgoñ kī har rañg badaltī fitrat se
raunaq ko bāzār samajhne vaale mujh se duur raheñ
majnūñ aur shāhoñ meñ kuchh din maiñ bhī uTThā baiThā huuñ
sahrā ko gulzār samajhne vaale mujh se duur raheñ
manzil kī ḳhvāhish hai jin ko aa.eñ mere saath chaleñ
rastoñ ko hamvār samajhne vaale mujh se duur raheñ
āñchal aur malbūs pe jin kī āñkheñ chipkī rahtī haiñ
un ko bā-kirdār samajhne vaale mujh se duur raheñ
'faiz-ālam-bābar' ḳhud bhī yaar hai jaane kis kis kā
yāroñ ko makkār samajhne vaale mujh se duur raheñ