laakh bahkā.e ye duniyā ho gayā to ho gayā
dil se jo ik baar merā ho gayā to ho gayā
kyuuñ nadāmat ho mujhe lā-iḳhtiyārī fel par
maiñ tirī nazroñ meñ rusvā ho gayā to ho gayā
kam ziyāda ho to saktā hai magar chhuTtā nahīñ
jis ko jo ik baar nashsha ho gayā to ho gayā
dil bahut rotā hai lekin us but-e-maġhrūr se
munqat'a har ek rishta ho gayā to ho gayā
muntaqil hotā hai lekin vo kabhī martā nahīñ
jo sadā-e-kun se paidā ho gayā to ho gayā
apnī marzī se yahāñ din kāTne ke jurm meñ
maiñ agar duniyā meñ tanhā ho gayā to ho gayā
dekhtā hai kaun 'bābar' kis kā kyā kirdār hai
jis se jo mansūb qissa ho gayā to ho gayā