us ik ummīd ko to rāhat-e-safar na samajh
hai rāste meñ kahīñ sāya-e-shajar na samajh
jo sāmne na rahā us kā aks aañkh meñ hai
ab itnā ḳhālī bhī ye kāsa-e-nazar na samajh
jo ruuh meñ na utar jaa.e vo jamāl nahīñ
jo dil-gudāz na kar de use hunar na samajh
nazar parakh dil-e-majrūh nashtaroñ pe na jā
har aane vaale ko tū apnā chāragar na samajh
jo fasl-e-gul kī tamannā meñ ho ga.e barbād
vo bā-murād haiñ ġham un kā be-samar na samajh
har ek ghar meñ na jab tak charāġh jal jaa.e
'kamāl' raushan-o-ābād apnā ghar na samajh