ġhazal meñ husn kā us ke bayān rakhnā hai
kamāl ā.ankhoñ meñ goyā zabān rakhnā hai
jahāz-rāñ hunar o hausla na le jā saath
huā ke ruḳh pe agar bādbān rakhnā hai
bharā to hai mirā tarkash magar ye dil hai gudāz
so umr bhar mujhe ḳhālī kamān rakhnā hai
diye bujhātī rahī dil bujhā sake to bujhā.e
havā ke sāmne ye imtihān rakhnā hai
bahut hañse mire is faisle pe sāya-nashīñ
ki sar pe dhuup ko ab sā.ebān rakhnā hai
ho intizār-e-bahārāñ jahāñ na rañj-e-ḳhizāñ
'kamāl' aisā bayābāñ makān rakhnā hai