use shikast na hone pe maan kitnā thā
jo reza reza huā saḳht-jān kitnā thā
hai ab diloñ meñ ye dahshat ki sar pe aa na gire
zamīñ se duur yahī āsmān kitnā thā
maiñ apnā zarf bhī dekhūñ ki us se ranjish par
bhulā diyā ki vahī mehrbān kitnā thā
bajā hai vus.at-e-duniyā magar chhuTā jab ghar
khulā ki tañg hamīñ par jahān kitnā thā
diye to bujh ga.e bijlī ke qumqume na bujhe
havā ko zor pe apne gumān kitnā thā
jo phuul god se us kī 'kamāl' chhīne ga.e
udaas un ke liye pūl-dān kitnā thā