kyā hotā hai ḳhizāñ bahār ke aane jaane se
sab mausam haiñ dil khilne aur dil murjhāne se
ek diyā kab rok sakā hai raat ko aane se
lekin dil kuchh sambhlā to ik diyā jalāne se
jo phūloñ aur kāñToñ kī pahchān nahīñ rakhtā
phuul nahīñ rukte ghar us kā bhī mahkāne se
jalte nazar nahīñ aa.e aur jal kar ḳhaak hue
duur kā rishta apnā bhī niklā parvāne se
kachchī umr meñ aur sāvan meñ kaise baaz aa.eñ
āñkheñ jagmag karne se āñchal lahrāne se
kitnā achchhā lagtā hai ik aam sā chehra bhī
sirf mohabbat-bharā tabassum lab par laane se
ga.e dinoñ meñ ronā bhī to kitnā sachchā thā
dil halkā ho jaatā thā jab ashk bahāne se
bhīgī raat kā sannāTā kartā hai vahī bāteñ
zaḳhm hare hote haiñ jo bāteñ yaad aane se