paayā jab se zaḳhm kisī ko khone kā
sīkhā fan ham ne be-āñsū rone kā
baḌoñ ne us ko chhīn liyā hai bachchoñ se
ḳhabar nahīñ ab kyā ho haal khilaune kā
ham-safaroñ se tark-e-safar ko kahtā huuñ
Dar hai raah meñ aisī bāteñ hone kā
ro denā bhī majbūrī to hai lekin
lutf alag hai dil meñ aañsū bone kā
mīThe ḳhvāb bhī ham dekheñ gar mausam ho
lambī gahrī mīThī nīndeñ sone kā
mere liye kyā mere dam-e-āḳhir tak hai
khel ye saarā hone aur na hone kā