hunar jo tālib-e-zar ho hunar nahīñ rahtā
mahal-sarā meñ koī kūza-gar nahīñ rahtā
bichhaḌte vaqt kisī se hameñ bhī thā ye gumāñ
ki zaḳhm kaisā bhī ho umr-bhar nahīñ rahtā
maiñ apne haq ke sivā māñgtā agar kuchh aur
to mere harf-e-duā meñ asar nahīñ rahtā
kuchh aur bhī guzar-auqāt ke vasīle haiñ
gadā ḳhazīna-e-kashkol par nahīñ rahtā
vo kaun hai jo musāfir ke saath chaltā hai
ḳhayāl-e-yār bhī jab ham-safar nahīñ rahtā
jise banāte sajāte haiñ jis meñ rahte haiñ
savere aañkh khule to vo ghar nahīñ rahtā
khulī fazā na rahe yaad agar parindoñ ko
ġham-e-shikastagī-e-bāl-o-par nahīñ rahtā
ham ek shab meñ ka.ī ḳhvāb dekhte haiñ so ab
vo aa ke ḳhvāb meñ bhī rāt-bhar nahīñ rahtā
'kamāl' log bhī kyā haiñ gumāñ ye rakhte haiñ
jo bas gayā ho kahīñ dar-ba-dar nahīñ rahtā