vo shaḳhs to mujhe hairān kartā jaatā thā
ki zaḳhm de ke mujhe un ko bhartā jaatā thā
darīcha kholte jo haath un meñ thī zanjīr
galī se ek musāfir guzartā jaatā thā
banā.e jaatā thā maiñ apne haath ko kashkol
so merī ruuh meñ ḳhanjar utartā jaatā thā
use malāl se taktī thiiñ gaañv kī galiyāñ
vo naġhma-gar jo siye lab guzartā jaatā thā
banā.e jaatā thā us ko hasīñ na jaane kaun
badan vo phuul na thā aur nikhartā jaatā thā
talāsh-e-zar meñ javāñ kuuch karte jaate the
'kamāl' gaañv kā sab husn martā jaatā thā