ġham-e-jāñ gum ġham-e-duniyā meñ to honā mushkil
hai samundar ko samundar meñ samonā mushkil
niiñd jis ne bahut āñkhoñ se uḌā rakkhī thī
ye huā kyā ki huā us ko bhī sonā mushkil
har sifat apnī kahāñ detā hai gul ḳhushbū ko
ḳhvāb dil ke mirī āvāz meñ honā mushkil
yuuñ zamīñ zā.iqa-e-ḳhūñ se huī hai mānūs
is meñ ab fasl-e-mohabbat kī hai bonā mushkil
kal hameñ milne haiñ jo ġham vo abhī mil jaa.eñ
aañkh pathrā.ī to ho jā.egā ronā mushkil
vaqt ko khelne insān se do jī bhar ke
phir 'kamāl' us ko hai milnā ye khilaunā mushkil