saffāk sarāb se ziyāda
hai ishq azaab se ziyāda
maqtūl ke chehre par chamak thī
talvār kī aab se ziyāda
maiñ ahl-e-kitāb ko hamesha
paḌhtā huuñ kitāb se ziyāda
kyā rañg dikhā.e ham jo chāheñ
kāñTe ko gulāb se ziyāda
utrā vo ragoñ meñ zahr jis meñ
nashsha hai sharāb se ziyāda
mānūs haiñ ġham 'kamāl' shāyad
mujh ḳhāna-ḳharāb se ziyāda