ho terī yaad kā dil meñ guzar āhista āhista
kare ye chāñd sahrā meñ safar āhista āhista
bahut tezī se duniyā chhīn legī jab tujhe mujh se
tū phir is dil meñ aise mat utar āhista āhista
ki ham dhoke meñ rakkheñ dostoñ ko ḳhush-kalāmī se
hameñ aa hī gayā ye bhī hunar āhista āhista
kahīñ se ek vīrānī kā saayā phailtā aayā
hue be-rañg sab dīvār-o-dar āhista āhista
na TuuTe aur kuchh din tujh se rishta is tarah merā
mujhe barbād kar de tū magar āhista āhista
ye ḳhāmoshī yahāñ kā husn hai rakhnā ḳhayāl is kā
'kamāl' is dasht-e-vīrāñ se guzar āhista āhista