toḌ ke naatā ham-sajnoñ se pag pag vo pachtā.e haiñ
jab jab un se aañkh milī hai tab tab vo sharmā.e haiñ
rūp-nagar ko chhoḌ ke jab se ās-nagar ko aa.e haiñ
sahrā sahrā dhuup kaḌī hai peḌ na koī saa.e haiñ
jañgal jañgal aag lagī hai dariyā dariyā paanī hai
nagrī nagrī thaah nahīñ hai log bahut ghabrā.e haiñ
sachchā.ī hai amrit dhārā sachchā.ī anmol sahārā
sach ke raste chal ke sab ne Thor Thikāne paa.e haiñ
daulat to hai ānī-jānī rūp-nagar kī rām-kahānī
dhan ke log bhī dhartī par kab sukh se rahne paa.e haiñ
shīsha jab bhī TūTegā jhankār fazā meñ gūñjegī
jab hī komal desh dulāre patthar se Takrā.e haiñ
jhuuT kā Dañkā bajtā thā jis vaqt 'jamīl' is nagrī meñ
har raste har moḌ pe ham ne sach ke alam lahrā.e haiñ