Jameel Azimabadi

likhna hai sar-guzasht qalam naz se uTha

Jameel Azimabadi

Nalanda, Bihar, India

1924-1972
likhnā hai sar-guzasht qalam naaz se uThā
har nuqta-e-hayāt ko āġhāz se uThā
har mā-sivā ke ḳhauf ko jis ne miTā diyā
na.ara vo lā-tazar kā mere saaz se uThā
jo bhī bharam thā chāñd-sitāroñ kā khul gayā
parda kuchh aisā jur.at-e-parvāz se uThā
vo shor jis se azmat-e-shāhī laraz ga.ī
tabrez-o-qum se mash.had-o-shīrāz se uThā
afsurda anjuman hai fasurda haiñ ahl-e-dil
ye kaun aaj jalva-gah-e-nāz se uThā
ye naunihāl-e-bāġh-e-tamannā ke phuul haiñ
āġhosh-e-dil meñ in ko zarā naaz se uThā
mar jā.ūñgā to log kaheñge yahī 'jamīl'
ik mard-e-haq kī laash hai e.azāz se uThā
Top Urdushayar.com