Anees Kaifi

naqab ulTa hai shamon ne sitaro tum to so jao

Anees Kaifi

naqāb ulTā hai sham.oñ ne sitāro tum to so jaao
kareñge raqs parvāne sitāro tum to so jaao
nigāhoñ meñ nigah Daale nashe meñ chuur matvāle
paḌheñge dil ke afsāne sitāro tum to so jaao
sajegī mahfil-e-yārāñ badan sīmābī jūmeñge
kareñge raqs paimāne sitāro tum to so jaao
bhaTakte haiñ gulistāñ meñ bayābānoñ meñ sahrā meñ
misāl-e-qais dīvāne sitāro tum to so jaao
vo baiThe haiñ jhukā.e sar adā-e-dil-navāzī se
lage haiñ ḳhud se sharmāne sitāro tum to so jaao
khulī zulfeñ liye vo jhiil kī jānib ḳhirāmāñ se
barhana-pā lage aane sitāro tum to so jaao
dabā.e hoñT dāñtoñ meñ lage haiñ chashm-o-mizhgāñ se
nazar ke tiir barsāne sitāro tum to so jaao
utar kar āsmāñ se dekhiye rūThe sanam ko ab
qamar aayā hai bahlāne sitāro tum to so jaao
hue haiñ TukḌe TukḌe ab dil-e-bismil ke ai 'kaifī'
ki hogā kyā ḳhudā jaane sitāro tum to so jaao
Top Urdushayar.com