achchhe dinoñ kī aas lagā kar maiñ ne ḳhud ko rokā hai
kaise kaise ḳhvāb dikhā kar maiñ ne ḳhud ko rokā hai
maiñ ne ḳhud ko rokā hai jazbāt kī rau meñ bahne se
dil meñ sau armān dabā kar maiñ ne ḳhud ko rokā hai
furqat ke mausam meñ kaise zinda huuñ tum kyā jaano
kaise is dil ko samjhā kar maiñ ne ḳhud ko rokā hai
chhoḌ ke sab kuchh tum se milne aa jaanā dushvār nahīñ
mustaqbil kā ḳhauf dilā kar maiñ ne ḳhud ko rokā hai
kaTte kahāñ haiñ hijr ke lamhe phir bhī ek zamāne se
terī yādoñ se bahlā kar maiñ ne ḳhud ko rokā hai
vāpas jaane ke sab raste maiñ ne ḳhud masdūd kiye
kashtī aur patvār jalā kar maiñ ne ḳhud ko rokā hai
jab bhī maiñ ne chāhā 'rāġhib' dushman par yalġhār karūñ
ḳhud ko apne sāmne pā kar maiñ ne ḳhud ko rokā hai