Iftikhar Raghib

inkar hi kar dijiye iqrar nahin to

Iftikhar Raghib

Gopal Ganj, Bihar, India

1973

inkār kar dījiye iqrār nahīñ to

uljhan meñ mar jā.egā bīmār nahīñ to

lagtā hai ki pinjre meñ huuñ duniyā meñ nahīñ huuñ

do roz se dekhā koī aḳhbār nahīñ to

duniyā hameñ nābūd kar Dālegī ik din

ham hoñge agar ab bhī ḳhabar-dār nahīñ to

kuchh to rahe aslāf tahzīb ḳhushbū

Topī lagā lījiye dastār nahīñ to

ham barsar-e-paikār sitamgar se hamesha

rakhte haiñ qalam haath meñ talvār nahīñ to

bhaa.ī ko hai bhaa.ī pe bharosa to bhalā hai

āñgan meñ bhī uTh jā.egī dīvār nahīñ to

be-sūd har ik qaul har ik sher hai 'rāġhib'

gar us ke muāfiq tirā kirdār nahīñ to

Top Urdushayar.com