Iftikhar Raghib

kaha maine meri aankhon mein pani hai

Iftikhar Raghib

Gopal Ganj, Bihar, India

1973
kahā maiñ ne mirī āñkhoñ meñ paanī hai
javāb aayā mohabbat kī nishānī hai
kahā maiñ ne lagī dil kī bujhānī hai
javāb aayā ye jazba jāvedānī hai
kahā maiñ ne khileñge kab vafā ke phuul
javāb aayā abhī mausam ḳhizānī hai
kahā maiñ ne mohabbat mehvar-e-hastī
javāb aayā balā-e-nā-gahānī hai
kahā maiñ ne ki har lamha sisaktā huuñ
javāb aayā ki ulfat to nibhānī hai
kahā maiñ ne sitam itnā nahīñ achchhā
javāb aayā mohabbat āzmānī hai
kahā maiñ ne matā-e-zīst ya.anī tū
javāb aayā yahāñ har chiiz faanī hai
kahā maiñ ne ki dekh in surḳh āñkhoñ meñ
javāb aayā mohabbat āsmānī hai
kahā maiñ ne ki kyoñ itne gurezāñ ho
javāb aayā tumhārī mehrbānī hai
kahā maiñ ne mirī ġhazloñ kī jaañ ho tum
javāb aayā tumhārī ḳhush-gumānī hai
kahā maiñ ne ḳhamoshī maar Dālegī
javāb un kā mukammal be-zabānī hai
kahā maiñ ne sunāo hāl-e-dil 'rāġhib'
javāb aayā bahut lambī kahānī hai
Top Urdushayar.com