Iftikhar Raghib

ho charag-e-ilm raushan Thik se

Iftikhar Raghib

Gopal Ganj, Bihar, India

1973
ho charāg-e-ilm raushan Thiik se
log vāqif hoñ na.ī taknīk se
ilm se raushan to hai un kā dimāġh
dil ke goshe haiñ magar tārīk se
raa.e us par mat karo qaa.em koī
jānte jis ko nahīñ nazdīk se
martaba kis kā hai kaisā kyā pata
baaz aanā chāhiye taz.hīk se
haath phailānā muqaddar ban na jaa.e
peT bharnā chhoḌ diije bhiik se
juḌ gayā shīsha bharose kā magar
rah ga.e haiñ baal kuchh bārīk se
jis kā maqsad adl o amn o ātishī
dil hai vābasta usī tahrīk se
be-sabab 'rāġhib' taḌap uThtā hai dil
dil ko samjhānā paḌegā Thiik se
Top Urdushayar.com