Iftikhar Raghib

phir uThaya jaunga miTTi mein mil jaane ke baad

Iftikhar Raghib

Gopal Ganj, Bihar, India

1973
phir uThāyā jā.ūñgā miTTī meñ mil jaane ke ba.ad
garche huuñ sahmā huā buniyād hil jaane ke ba.ad
aap ab ham se hamārī ḳhairiyat mat pūchhiye
aadmī ḳhud kā kahāñ rahtā hai dil jaane ke ba.ad
saḳht-jānī kī badaulat ab bhī ham haiñ tāza-dam
ḳhushk ho jaate haiñ varna peḌ hil jaane ke ba.ad
ḳhauf aatā hai bulandī kī taraf chaḌhte hue
gul kā murjhānā hī rah jaatā hai khil jaane ke ba.ad
fikr lāhaq hai hamesha misl-e-tuḳhm-e-nā-tavāñ
hashr kyā hogā darūn-e-āb-o-gil jaane ke ba.ad
is tarah hairān haiñ sab dekh kar 'rāġhib' mujhe
jaise koī aa gayā ho mustaqil jaane ke ba.ad
Top Urdushayar.com