tark-e-ta.alluqāt nahīñ chāhtā thā maiñ
ġham se tire najāt nahīñ chāhtā thā maiñ
kab chāhtā thā terī ināyat kī bārisheñ
shādābī-e-hayāt nahīñ chāhtā thā meñ
mujh se tū ai bahisht-e-nazar yuuñ nazar na pher
kyā tujh ko tā-hayāt nahīñ chāhtā thā maiñ
maiñ chāhtā thā tum se na jītūñ kabhī magar
khā jā.ūñ ḳhud se maat nahīñ chāhtā thā maiñ
guzrī hai dil pe kaisī qayāmat maiñ kyā kahūñ
nafrat kī kā.enāt nahīñ chāhtā thā maiñ
kyā haal ab hai tere ta.āqub meñ ai hayāt
tū yuuñ hī aa.e haat nahīñ chāhtā thā maiñ
maiñ chāhtā thā raah meñ kuchh mushkileñ magar
har har qadam pe ghaat nahīñ chāhtā thā maiñ
'rāġhib' vo merī fikr meñ ḳhud ko bhī bhuul jaa.eñ
aisī to koī baat nahīñ chāhtā thā maiñ