Iftikhar Raghib

chhoDa na mujhe dil ne meri jaan kahin ka

Iftikhar Raghib

Gopal Ganj, Bihar, India

1973
chhoḌā na mujhe dil ne mirī jaan kahīñ kā
dil hai ki nahīñ māntā nādān kahīñ kā
jaa.eñ to kahāñ jaa.eñ isī soch meñ gum haiñ
ḳhvāhish hai kahīñ kī to hai armān kahīñ kā
ham hijr ke māroñ ko kahīñ chain kahāñ hai
mausam nahīñ jachtā hameñ ik aan kahīñ kā
is shoḳhī-e-guftār par aatā hai bahut pyaar
jab pyaar se kahte haiñ vo shaitān kahīñ kā
ye vasl kī rut hai ki judā.ī kā hai mausam
ye gulshan-e-dil hai ki bayābān kahīñ kā
kar de na ise ġharq koī naddī kahīñ kī
ḳhud ko jo samajh baiThā hai bhagvān kahīñ kā
ik harf bhī tahrīf-zada ho to dikhā.e
le aa.e uThā kar koī qur.ān kahīñ kā
mahbūb nagar ho ki ġhazal gaaño ho 'rāġhib'
dastūr-e-mohabbat nahīñ āsān kahīñ kā
Top Urdushayar.com