jī chāhtā hai jiinā jazbāt ke mutābiq
hālāt kar rahe haiñ hālāt ke mutābiq
jis darja hijr-rut meñ āñkheñ baras rahī haiñ
ġhazleñ bhī ug rahī haiñ barsāt ke mutābiq
sukh chain aur ḳhushī kā andāza mat lagāo
asbāb o māl-o-zar kī buhtāt ke mutābiq
ho shahr ke mutābiq hāsil har ik sahūlat
māhaul par sukūñ ho dehāt ke mutābiq
dekho ḳhulūs-e-niyat jazbāt aur mohabbat
mat chāhatoñ ko tolo sauġhāt ke mutābiq
chādar hī ke mutābiq phailāo paañv 'rāġhib'
me.ār-e-zīst rakkhā auqāt ke mutābiq