Iftikhar Raghib

wo kahte hain ki aankhon mein meri taswir kis ki hai

Iftikhar Raghib

Gopal Ganj, Bihar, India

1973
vo kahte haiñ ki āñkhoñ meñ mirī tasvīr kis kī hai
maiñ kahtā huuñ ki raushan is qadar taqdīr kis kī hai
vo kahte haiñ ki kis ne aap ko rokā hai jaane se
maiñ kahtā huuñ ki mere paañv meñ zanjīr kis kī hai
vo kahte haiñ ki hai insān to ik ḳhaak kā putlā
maiñ kahtā huuñ ki itnī azma-o-tauqīr kis kī hai
vo kahte haiñ ki dil meñ aap ne kis ko basāyā hai
maiñ kahtā huuñ ki ye duniyā-e-dil jāgīr kis kī hai
vo kahte haiñ ki kis ne jā-ba-jā likhkhā hai merā naam
maiñ kahtā huuñ shikasta is qadar tahrīr kis kī hai
vo kahte haiñ ki maiñ ne aap sā saame nahīñ dekhā
maiñ kahtā huuñ ki itnī pur-kashish taqrīr kis kī hai
vo kahte haiñ tire sheroñ meñ hai shoḳhī qayāmat kī
maiñ kahtā huuñ ḳhayāl o fikr meñ tanvīr kis kī hai
vo kahte haiñ ki ham haiñ dushmanān-e-amn ke dushman
maiñ kahtā huuñ ki un ke haath meñ shamshīr kis kī hai
vo kahte haiñ ki 'rāġhib' tum nahīñ rakhte ḳhayāl apnā
maiñ kahtā huuñ ki har dam fikr dāman-gīr kis kī hai
Top Urdushayar.com