Iftikhar Raghib

chahaton ka silsila hai mustaqil

Iftikhar Raghib

Gopal Ganj, Bihar, India

1973
chāhatoñ kā silsila hai mustaqil
sabz mausam karb kā hai mustaqil
kyā batā.ūñ dil meñ kis kī yaad kā
ek kāñTā chubh rahā hai mustaqil
baḌh rahā hai mustaqil qaht-e-shajar
zahr-ālūda fazā hai mustaqil
rāh-e-ulfat meñ kahāñ āsāniyāñ
pur-ḳhatar ye rāsta hai mustaqil
aa ga.ī hai fasl-e-āzādī magar
ḳhauf kā paudā harā hai mustaqil
dushmanī ke sab darīche band haiñ
dostī kā dar khulā hai mustaqil
ishq ke ik TimTimāte diip ne
dil ko raushan kar rakhā hai mustaqil
ek mausam kī kasak hai dil meñ dafn
mīThā mīThā dard sā hai mustaqil
zehn o dil kī vādī-e-pur-amn meñ
gūñjtī kis kī sadā hai mustaqil
dekh kar rasm-e-vafā is daur kī
sharmgīñ harf-e-vafā hai mustaqil
ġham kisī kā ho gayā 'rāġhib' nasīb
varna is duniyā meñ kyā hai mustaqil
Top Urdushayar.com