Bismil Azimabadi

chaman ko lag gai kis ki nazar KHuda jaane

Bismil Azimabadi

Khusrupur, Bihar, India

1901-1978
chaman ko lag ga.ī kis kī nazar ḳhudā jaane
chaman rahā na rahe vo chaman ke afsāne
sunā nahīñ hameñ ujḌe chaman ke afsāne
ye rañg ho to sanak jaa.eñ kyuuñ na dīvāne
chhalak rahe haiñ surāhī ke saath paimāne
bulā rahā hai haram, Tokte haiñ but-ḳhāne
khisak bhī jā.egī botal to pakḌe jā.eñge riñd
janāb-e-shaiḳh lage aap kyuuñ qasam khāne
ḳhizāñ meñ ahl-e-nasheman kā haal to dekhā
qafas nasīb pe kyā guzrī hai ḳhudā jaane
hujūm-e-hashr meñ apne gunāhgāroñ ko
tire sivā koī aisā nahīñ jo pahchāne
naqāb ruḳh se na sarkī thī kal talak jin kī
sabhā meñ aaj vo aa.e haiñ nāchne-gāne
kisī kī mast-ḳhirāmī se shaiḳh nālāñ haiñ
qadam qadam pe bane jā rahe haiñ mai-ḳhāne
ye inqalāb nahīñ hai to aur kyā 'bismil'
nazar badalne lage apne jāne-pahchāne
Top Urdushayar.com