Bismil Azimabadi

sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai

Bismil Azimabadi

Khusrupur, Bihar, India

1901-1978
sarfaroshī kī tamannā ab hamāre dil meñ hai
dekhnā hai zor kitnā bāzū-e-qātil meñ hai
ai shahīd-e-mulk-o-millat maiñ tire uupar nisār
le tirī himmat kā charchā ġhair kī mahfil meñ hai
vaa.e qismat paañv kī ai zo.af kuchh chaltī nahīñ
kārvāñ apnā abhī tak pahlī hī manzil meñ hai
rahrav-e-rāh-e-mohabbat rah na jaanā raah meñ
lazzat-e-sahrā-navardī dūrī-e-manzil meñ hai
shauq se rāh-e-mohabbat kī musībat jhel le
ik ḳhushī kā raaz pinhāñ jāda-e-manzil meñ hai
aaj phir maqtal meñ qātil kah rahā hai baar baar
aa.eñ vo shauq-e-shahādat jin ke jin ke dil meñ hai
marne vaalo aao ab gardan kaTāo shauq se
ye ġhanīmat vaqt hai ḳhanjar kaf-e-qātil meñ hai
māne-e-iz.hār tum ko hai hayā, ham ko adab
kuchh tumhāre dil ke andar kuchh hamāre dil meñ hai
mai-kada sunsān ḳhum ulTe paḌe haiñ jaam chuur
sar-nigūñ baiThā hai saaqī jo tirī mahfil meñ hai
vaqt aane de dikhā deñge tujhe ai āsmāñ
ham abhī se kyuuñ batā.eñ kyā hamāre dil meñ hai
ab na agle valvale haiñ aur na vo armāñ kī bhiiḌ
sirf miT jaane kī ik hasrat dil-e-'bismil' meñ hai
Top Urdushayar.com