ḳhizāñ ke jaane se ho yā bahār aane se
chaman meñ phuul khileñge kisī bahāne se
vo dekhtā rahe muḌ muḌ ke sū-e-dar kab tak
jo karvaTeñ bhī badaltā nahīñ Thikāne se
ugal na sañg-e-malāmat ḳhudā se Dar nāseh
milegā kyā tujhe shīshoñ ke TuuT jaane se
zamāna aap kā hai aur aap us ke haiñ
laḌā.ī mol leñ ham muft kyuuñ zamāne se
ḳhudā kā shukr savere hī aa gayā qāsid
maiñ bach gayā shab-e-furqat ke naaz uThāne se
maiñ kuchh kahūñ na kahūñ kah rahī hai ḳhāk-e-jabīñ
ki is jabīñ ko hai nisbat ik āstāne se
qayāmat aa.e qayāmat se maiñ nahīñ Dartā
uThā to de koī parda kisī bahāne se
ḳhabar bhī hai tujhe ā.īna dekhne vaale
kahāñ gayā hai dupaTTa sarak ke shāne se
ye zindagī bhī koī zindagī huī 'bismil'
na ro sake na kabhī hañs sake Thikāne se