Bismil Azimabadi

KHizan jab tak chali jati nahin hai

Bismil Azimabadi

Khusrupur, Bihar, India

1901-1978
ḳhizāñ jab tak chalī jaatī nahīñ hai
chaman vāloñ ko niiñd aatī nahīñ hai
jafā jab tak ki chauñkātī nahīñ hai
mohabbat hosh meñ aatī nahīñ hai
jo rotā huuñ to hañstā hai zamāna
jo sotā huuñ to niiñd aatī nahīñ hai
tumhārī yaad ko allāh rakkhe
jab aatī hai to phir jaatī nahīñ hai
kalī bulbul se shoḳhī kar rahī hai
zarā phūloñ se sharmātī nahīñ hai
jahāñ mai-kash bhī jaa.eñ Darte Darte
vahāñ vaa.iz ko sharm aatī nahīñ hai
nahīñ miltī to hañgāme haiñ kyā kyā
jo miltī hai to pī jaatī nahīñ hai
javānī kī kahānī dāvar-e-hashr
sar-e-mahfil kahī jaatī nahīñ hai
kahāñ tak shaiḳh ko samjhā.iyegā
burī aadat kabhī jaatī nahīñ hai
ghaḌī bhar ko jo bahlā.e mirā dil
koī aisī ghaḌī aatī nahīñ hai
hañsī 'bismil' kī hālat par kisī ko
kabhī aatī thī ab aatī nahīñ hai
Top Urdushayar.com