Bismil Azimabadi

ab dam-ba-KHud hain nabz ki raftar dekh kar

Bismil Azimabadi

Khusrupur, Bihar, India

1901-1978
ab dam-ba-ḳhud haiñ nabz kī raftār dekh kar
tum hañs rahe ho hālat-e-bīmār dekh kar
saudā vo kyā karegā ḳharīdār dekh kar
ghabrā gayā jo garmī-e-bāzār dekh kar
allāh tere haath hai ab ābrū-e-shauq
dam ghuT rahā hai vaqt kī raftār dekh kar
detā kahāñ hai vaqt paḌe par koī bhī saath
ham ko musībatoñ meñ giraftār dekh kar
aate haiñ mai-kade kī taraf se janāb-e-shaiḳh
sargoshiyāñ haiñ laġhzish-e-raftār dekh kar
ġhairoñ ne ġhair jaan ke ham ko uThā diyā
baiThe jahāñ bhī sāya-e-dīvār dekh kar
aate haiñ bazm-e-yārāñ meñ pahchān hī gayā
mai-ḳhvār kī nigāh ko mai-ḳhvār dekh kar
is madh-bharī nigāh kī allāh-re kashish
sau baar dekhnā paḌā ik baar dekh kar
tum rahnumā-e-vaqt sahī phir bhī chand gaam
chalnā paḌegā vaqt kī raftār dekh kar
vaqt-e-sahar guzar ga.ī kyā kiyā na pūchhiye
gardan meñ un kī sūkhe hue haar dekh kar
talchhaT milā ke detā hai rindoñ ko sāqiyā
sāġhar paTak na de koī hoshyār dekh kar
'bismil' ko kyā hai chādar-e-rahmat rasūl kī
saaye meñ le hī legī gunahgār dekh kar
Top Urdushayar.com