sochne kā bhī nahīñ vaqt mayassar mujh ko
ik kashish hai jo liye phirtī hai dar dar mujh ko
apnā tūfāñ na dikhā.e vo samundar mujh ko
chaar qatre na hue jis se mayassar mujh ko
umr bhar dair-o-haram ne diye chakkar mujh ko
be-kasī kā ho burā le ga.ī ghar ghar mujh ko
shukr hai rah gayā parda mirī uryānī kā
ḳhaak kūche kī tire ban ga.ī chādar mujh ko
chup rahūñ maiñ to ḳhamoshī bhī gila ho jaa.e
aap jo chāheñ vo kah deñ mire muñh par mujh ko
ḳhaak chhānā kiye ham qāfile vāloñ ke liye
qāfile vāloñ ne dekhā bhī na muḌ kar mujh ko
aap zālim nahīñ, zālim hai magar aap kī yaad
vahī kam-baḳht satātī hai barābar mujh ko
inqilābāt ne kuchh aisā pareshān kiyā
ki sujhā.ī nahīñ detā hai tirā dar mujh ko
jur.at-e-shauq to kyā kuchh nahīñ kahtī lekin
paañv phailāne nahīñ detī hai chādar mujh ko
mil ga.ī tishnagī-e-shauq se fursat tā-umr
apne hāthoñ se diyā aap ne sāġhar mujh ko
ab mirā jazba-e-taufīq hai aur maiñ 'bismil'
ḳhizr gum ho ga.e raste pe lagā kar mujh ko