Bismil Azimabadi

kahan aaya hai diwanon ko tera kuchh qarar ab tak

Bismil Azimabadi

Khusrupur, Bihar, India

1901-1978
kahāñ aayā hai dīvānoñ ko terā kuchh qarār ab tak
tire va.ade pe baiThe kar rahe haiñ intizār ab tak
ḳhudā ma.alūm kyuuñ lauTī nahīñ jā kar bahār ab tak
chaman vaale chaman ke vāste haiñ be-qarār ab tak
burā gulchīñ ko kyuuñ kahiye bure haiñ ḳhud chaman vaale
bhale hote to kyā muñh dekhtī rahtī bahār ab tak
chaman kī yaad aa.ī dil bhar aayā aañkh bhar aa.ī
jahāñ bolā koī gulshan meñ baaqī hai bahār ab tak
sabab jo bhī ho sūrat kah rahī hai raat jaage ho
gavāhī ke liye baaqī hai āñkhoñ meñ ḳhumār ab tak
qayāmat aa.e to un ko bhī aate aate aa.egā
vo jin ko tere va.ade par nahiñ hai e'tibār ab tak
salāmat mai-kada thoḌī bahut un ko bhī de saaqī
takalluf meñ jo baiThe rah ga.e kuchh bāda-ḳhvār ab tak
ḳhudārā dekh le duniyā ki phir ye bhī na dekhegī
chaman se jaate jaate rah ga.ī hai jo bahār ab tak
qafas meñ rahte rahte ek muddat ho ga.ī phir bhī
chaman ke vāste rahtī hai bulbul be-qarār ab tak
ḳhabar bhī hai tujhe mai-ḳhvār to badnām hai saaqī
dabā kar kitnī botal le ga.e parhez-gār ab tak
are dāman chhuḌā kar jaane vaale kuchh ḳhabar bhī hai
tire qadmoñ se hai lipTī huī ḳhāk-e-mazār ab tak
ye kahne vaale kahte haiñ ki tauba kar chuke 'bismil'
magar dekhe ga.e haiñ mai-kade meñ baar baar ab tak
Top Urdushayar.com