Bismil Azimabadi

ab mulaqat kahan shishe se paimane se

Bismil Azimabadi

Khusrupur, Bihar, India

1901-1978
ab mulāqāt kahāñ shīshe se paimāne se
fātiha paḌh ke chale aa.e haiñ mai-ḳhāne se
kyā kareñ jām-o-subū haath pakaḌ lete haiñ
jī to kahtā hai ki uTh jā.iye mai-ḳhāne se
phūñk kar ham ne har ik gaam pe rakkhā hai qadam
āsmāñ phir bhī na baaz aayā sitam Dhāne se
ham ko jab aap bulāte haiñ chale aate haiñ
aap bhī to kabhī aa jā.iye bulvāne se
are o va.ada-farāmosh pahāḌ aisī raat
kyā kahūñ kaise kaTī tere nahīñ aane se
yaad rakh! vaqt ke andāz nahīñ badleñge
are allāh ke bande tire ghabrāne se
sar chaḌhā.eñ kabhī āñkhoñ se lagā.eñ saaqī
tere hāthoñ kī chhalak jaa.e jo paimāne se
ḳhālī rakkhī huī botal ye patā detī hai
ki abhī uTh ke gayā hai koī mai-ḳhāne se
aa.egī hashr kī nāseh kī samajh meñ kyā ḳhaak
jab samajhdār samajhte nahīñ samjhāne se
barq ke Dar se kaleje se lagā.e hue hai
chaar tinke jo uThā laa.ī hai vīrāne se
dil zarā bhī na pasījā but-e-kāfir terā
ka.aba allāh kā ghar ban gayā but-ḳhāne se
sham.a bechārī jo ik mūnis-e-tanhā.ī thī
bujh ga.ī vo bhī sar-e-shām havā aane se
ġhair kaahe ko suneñge tirā dukhḌā 'bismil'
un ko fursat kahāñ hai apnī ġhazal gaane se
Top Urdushayar.com